Qismat ko na dosh day
Koi theek sabab talaash kar
Tu insaan hai, insaan ban
Khuda ka na ehtisaab kar
Ajab nahi kay tere kufr mein
Raza Usi Khuda ki hai........
Kufr ki na maut mar.....
Koi amal-e-nijaat kar
Beshaq na kar qalma koi
Na sajdon kay tu waar kar
Na wo yeh kehta hai tujhse
To Masjidain abad kar
Kar kisi kay dil ko saaf
Kahin umeed-e-bahar kar
De kisi ko ghiza ka hal
Kahin waseela-e-hayaat kar
Itni si Uski baat sun,
Kahin zindagi abad kar
Nahaq na le kisi ka haq
Insaaf ki to baat kar
Jeena isi ka naam hai
Khalqat ko Uski shad kar
Qismat ko na dosh day
Koi theek sabab talaash kar
Tu insaan hai, insaan ban
Khuda ka na ehtisaab kar
Koi theek sabab talaash kar
Tu insaan hai, insaan ban
Khuda ka na ehtisaab kar
Ajab nahi kay tere kufr mein
Raza Usi Khuda ki hai........
Kufr ki na maut mar.....
Koi amal-e-nijaat kar
Beshaq na kar qalma koiNa sajdon kay tu waar kar
Na wo yeh kehta hai tujhse
To Masjidain abad kar
Kar kisi kay dil ko saaf
Kahin umeed-e-bahar kar
De kisi ko ghiza ka hal
Kahin waseela-e-hayaat kar
Itni si Uski baat sun,
Kahin zindagi abad kar
Nahaq na le kisi ka haq
Insaaf ki to baat kar
Jeena isi ka naam hai
Khalqat ko Uski shad kar
Qismat ko na dosh day
Koi theek sabab talaash kar
Tu insaan hai, insaan ban
Khuda ka na ehtisaab kar

No comments:
Post a Comment